ye aur baat hai bad-namiyon ke ghar mein raha yahi bahut hai ki main aap ki nazar mein raha na raston ka pata tha na manzilen malum safar tamam hua aur main safar mein raha kisi ki zulf ka saya kahan nasib hua tamam umr sulagti si dopahar mein raha hazaron qafile manzil pe ja ke laut aae main sang-e-mil ki manind rahguzar mein raha wo jis ne rakh diye dushman ke samne hathiyar amir-e-fauj ki fihrist-e-mo'atabar mein raha khud apne jism ki parchhaiyon mein so jao khizan ka daur hai saya kahan shajar mein raha qadam qadam pe lagi thes aabginon ko khayal-e-khatir-e-ahbab sim-o-zar mein raha