phulon ki talab mein thoda sa aazar nahin to kuchh bhi nahin khud aa ke jo uljhe daman se wo khar nahin to kuchh bhi nahin ho din ki fazaon ka sargam ya bhigti raaton ka aalam kitna hi suhana ho mausam dildar nahin to kuchh bhi nahin kyun ahl-e-sitam ka dil toden phir shahr mein chal kar sar phoden sahra-e-junun ko ab chhoden diwar nahin to kuchh bhi nahin har mauj-e-bala ek sahil hai girdab hi apna hasil hai ye kashti-e-dil wo qatil hai manjhdar nahin to kuchh bhi nahin kya mithe bol sunate ho kya git anokhe gate ho kya naghmon par itraate ho jhankar nahin to kuchh bhi nahin ye nam o numud ki khwahish kya ye ilm o fan ki numaish kya apna to aqida hai ye 'sahar' meyar nahin to kuchh bhi nahin