sab ek na ek sarab ke chakkar mein rah gae kya pher aadmi ke muqaddar mein rah gae kya dard-e-mushtarak tha zamir-e-sukut mein kho kar jo hum udas se manzar mein rah gae ye dasht-e-zist aur ye khara-tarashiyan jalwe hunar ke sina-e-azar mein rah gae dekha sanam-kadon ko to aksar hua khayal wo naqsh-e-jawedan the jo patthar mein rah gae darwaze wa the phir bhi ajab be-dari si thi hum khud asir ho ke khule ghar mein rah gae yun bhi gham o nashat ka qissa na ho tamam insan dhal ke yas ke paikar mein rah gae milta nahin koi sar-e-shorida ab 'sahar' patthar hi bas dayar-e-sitamgar mein rah gae