phulon ko chhune se nashtar zakhmi hoga ab ke sar mein lag kar patthar zakhmi hoga kafi din ke baad safar se lauta hun main jism thakan se chur hai bistar zakhmi hoga mausam ke chehre ki shiknen kahti hain aanhken hongi ya phir manzar zakhmi hoga maujen dariya ke sine par kya likhti hain socha to main andar andar zakhmi hoga barg-e-gul par suraj ke neze mat rakkho bholi-bhaali titli ka par zakhmi hoga aaankhon ki basti mein jab bazar sajega kachche sapnon ka saudagar zakhmi hoga main hathon mein khanjar le kar soch raha hun lautunga to mera bhi ghar zakhmi hoga