phulon ko sharmsar kisi ne nahin kiya kanton ko jhuk ke pyar kisi ne nahin kiya yun to gila khizan ka sabhon ne kiya magar shukrana-e-bahaar kisi ne nahin kiya buniyaad-e-ishq maslahat-amez ho gai malbus tar-tar kisi ne nahin kiya talwaren be-niyam hain mazhab ke nam par nau-e-bashar se pyar kisi ne nahin kiya haq ki duhai de sabhi khamosh ho gae baatil ko sangsar kisi ne nahin kiya 'akhtar' badhe chale gae sab rah-rawan-e-shauq kuchh mera intizar kisi ne nahin kiya