shahr-e-tamanna soya hua tha dard ka sahra jag raha tha kaise bataun dar kaisa tha khun badan ka jamne laga tha dil mein jo aai sab ne kaha tha aankhon se kis ne dekha tha logon ki pahchan thi mushkil chehre sa gardan pe kya tha duniya mere pichhe padi thi main duniya se bhag raha tha log tamasha dekh rahe the dariya mein kuchh dub raha tha khud se bhi bezar hai 'akhtar' kal tak jo hansta rahta tha