phulon se lahu kaise tapakta hua dekhun aankhon ko bujha lun ki haqiqat ko badal dun haq baat kahunga magar ai jurat-e-izhaar jo baat na kahni ho wahi baat na kah dun har soch pe khanjar sa guzar jata hai dil se hairan hun ki sochun to kis andaz mein sochun aankhen to dikhati hain faqat barf se paikar jal jati hain poren jo kisi jism ko chhu lun chehre hain ki marmar se tarashi hui lauhen bazar mein ya shahr-e-khamoshan mein khada hun sannate uda dete hain aawaz ke purze baron ko agar dasht-e-musibat mein pukarun milti nahin jab maut bhi mange se to yarab ho izn to main apni salib aap utha lun