tumhaare shahr ka mausam bada suhana lage main ek sham chura lun agar bura na lage tumhaare bas mein agar ho to bhul jao mujhe tumhein bhulane mein shayad mujhe zamana lage jo dubna hai to itne sukun se dubo ki aas-pas ki lahron ko bhi pata na lage wo phul jo mere daman se ho gae mansub khuda kare unhen bazar ki hawa na lage na jaane kya hai kisi ki udas aankhon mein wo munh chhupa ke bhi jae to bewafa na lage tu is tarah se mere sath bewafai kar ki tere baad mujhe koi bewafa na lage tum aankh mund ke pi jao zindagi 'qaisar' ki ek ghunt mein mumkin hai bad-maza na lage