phulon se saj gai kahin sabza pahan liya barish hui to dharti ne kya kya pahan liya jab se padhi chatai-nashinon ki zindagi mota mahin jo bhi mila kha pahan liya ek jism hai jo roz badalta hai kuchh libas ek ruh hai ki is ne jo pahna pahan liya aisa laga ki khud bhi bada ho gaya hun main jab bhi badon ka main ne utara pahan liya khud mil gaya hai zehn ko manzil ka har suragh qadmon ne jab safar ka irada pahan liya main ne bhi aankh pher li us ki taraf se aaj us ne bhi aaj dusra chehra pahan liya be-ikhtiyar ho gae jab bhi hamare ashk ghabra ke hum ne aankhon pe chashma pahan liya