tere palat aane se dil ko aur ek sadma hua wo naqsh ab baqi kahan jo tha tera chhoda hua yun aaj aaine se mil kar jism sannate mein hai ek aur hi chehra tha is mein kal talak hansta hua donon kahin mil baith kar bah jaen pal bhar ke liye is waqt se hat kar ke ho dariya koi bahta hua mashkuk aankhon se nikalte hain bichhadne ke sile tu soch le mil jaunga main to yahin thahra hua shair kahan tha sirf tha jazbaat ka taj-e-tapish sahil ki sukhi ret mein aksar yahi charcha hua