phunk de hai munh tera har saf-dil ke tan mein aag samne khurshid ke lagti hai jo darpan mein aag tujh se ai bulbul ziyaada gul mein hai tasir-e-ishq dil mein khun lab par hansi hai us ke pairahan mein aag ahl-e-zar saz-e-raunat se howenge dozakhi dalte hain shama ki awwal rag-e-gardan mein aag kohkan lala se khun tera hai joshan baad sal be-sutun ke dekh daem hai bhari daman mein aag soz-e-hijr-e-kanha se jo sanwla tha 'uzlat' aah daghdar aakhir lagi tesu ke bindraban mein aag