pi hum ne bahut sharab tauba ai garmi-e-aftab tauba aalam ka ye inqalab tauba zarre hue aaftab tauba jis waqt tasalliyan koi de us waqt ka iztirab tauba aankhen jinhen dekh kar hon bimar wo nargis-e-nim-khwab tauba kya mastana har ada hai kis josh pe hai shabab tauba kar dunga hazar main unhen band baaton ka meri jawab tauba har roz hi ek naya sitam hai har waqt hai ek itab tauba saqi tere daur mein kisi ki hoti bhi hai mustajab tauba aankhen shab-e-wasl bhi jhuki hain khalwat mein bhi ye hijab tauba karta hai sharab mohtasib band ye bhi hai koi sawab tauba piri mein 'hafiz' mai-parasti ab kijiye ai janab tauba