pi pi ke jagmagae zamane guzar gae raaton ko din banae zamane guzar gae jaan-e-bahaar phul nahin aadmi hun main aa ja ki muskurae zamane guzar gae kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto patthar bhi ghar mein aae zamane guzar gae o jaane wale aa ki tere intizar mein raste ko ghar banae zamane guzar gae gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yas sab se najat pae zamane guzar gae marne se wo daren jo ba-qaid-e-hayat hain mujh ko to maut aae zamane guzar gae kya kya tawaqquat thin aahon se ai 'khumar' ye tir bhi chalae zamane guzar gae