ye saneha bhi ajab ho gaya hai raste mein jo rahnuma tha wahi kho gaya hai raste mein kisi bhi aabla-pa ko na mil saki taskin ajib khar koi bo gaya hai raste mein itab-e-jaan hui gard-e-safar kisi ke liye kisi ko abr-e-karam dho gaya hai raste mein hudi ki lai karo maddham ai qafile walo thakan se chur koi so gaya hai raste mein musafiran-e-wafa ki koi khabar na mili na jaane kaun kidhar ko gaya hai raste mein rahega sath kahan tak ye dekhna hai mujhe wo ham-sukhan to mera ho gaya hai raste mein