pichhle baras ke sanhe bhule na hum abhi tum samne na aao ki taza hain gham abhi munsif hamare ahd ke allah ki panah qatil se kah rahe hain ki hai mohtaram abhi uthne lagin abhi se meri samt ungliyan dahliz-e-mai-kada pe rakha hai qadam abhi koi nahin hai mera gham-e-hijr ke siwa kya jaane kis ki yaad mein palken hain nam abhi kije jafaen aur ki phule phale ye fan soz-o-gudaz tarz-e-bayan mein hai kam abhi is ko jahan mein aur bhi hona hai paedar urdu zaban pe dhate hi rahiye sitam abhi dil mein khuda hai un ke kaho un se 'sarfaraaz' jo phir rahe hain dekhte dair-o-haram abhi