sham Khaali hai aur sahar Khaali

sham khali hai aur sahar khali
shahr hai ya koi khandar khali

sanp qabiz hain har khazane par
aadmi sab hain dar-ba-dar khali

aaiye khair hum talash karen
phailta ja raha hai shar khali

roab mafqud hai sadaon mein
shan-e-dastar se hai sar khali

ai asir-e-qunutiyat shair
apna naqd-o-nazar se bhar khali

ibrat-amoz hai giran-khwabi
abhi katre gae hain par khali

hashr uthega anqarib yahan
hai bas ek aanch ki kasar khali

bas koi mo'atabar masiha ho
dil mein baitha hua hai dar khali

hum udate hain fakhta din bhar
sher kahte hain raat bhar khali

meindki ko zukaam ho gaya hai
garche fitna hai us ki tar khali

qabr mein kuchh sukun tha pahle
haal kahta hai ye bhi kar khali

hum na behosh hon to kahiyega
dekh len aap ek nazar khali

phir laq-o-daq hai 'sarfaraaz' ka dil
misl-e-sahra-e-be-zarar khali


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close