pichhle baras tum sath the mere aur december tha mahke hue din-raat the mere aur december tha chandni-raat thi sard hawa se khidki bajti thi un hathon mein hath the mere aur december tha barish ki bundon se dil pe dastak hoti thi sab mausam barsat the mere aur december tha bhigi zulfen bhiga aanchal nind thi aankhon mein kuchh aise haalat the mere aur december tha dhire dhire bhadak rahi thi aatish-dan ki aag bahke hue jazbaat the mere aur december tha pyar bhari nazron se 'farah' jab us ne dekha tha bas wo hi lamhat the mere aur december tha