waise to is ghar ko us ne chahe kam khush-haali di beta bar-khurdar diya aur beti hausle wali di ghusse mein donon ne ek duje ke hath ko jhatka tha aur ab soch rahe hain pahle kis ne kis ko gali di kuchh main khud bhi har ek shakhs ki baaton mein aa jata hun kuchh waise bhi us ne mujh ko surat bholi-bhaali di warna kaam tha mera to phulon se rizq kamane tak phir us ne ek bagh ki mere hathon mein rakhwali di dhup badhi to wo bhi apne apne panw khinch gae main ne apne hisse ki jin pedon ko hariyali di dil ne meri ek sada par donon hathon dan kiya jab zambil mohabbat ne jazbaat se mujh ko khali di tu bhi man gaya ai dost ki dariya sirf dubota hai mere bare mein duniya ne tujh ko kham-khayali di pahle meri aankhon se sarmaya chhina nindon ka badle mein phir hijr ne meri aankhon ko ye lali di wo hi dega mujh ko phir tamir uthane ki himmat jis ne 'hasan' in baam-o-dar ko itni khasta-haali di