pichhle kisi safar ka sitara na DhunD le

pichhle kisi safar ka sitara na dhund le
phir se kahin wo sath hamara na dhund le

jis ko ki dhundhti hain samundar ki wusaten
dekho kahin wo shakhs kinara na dhund le

manzil hai us ke nam bas itna rahe khayal
raste mein naqsh-e-pa wo hamara na dhund le

mani thi ek bar jo dil ne khirad ki baat
waisa ye e'tidal dobara na dhund le

hota nahin kisi se haq is ka ada 'farogh'
kyun zindagi ajal ka sahaara na dhund le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close