jugnuon ka harf meri aankh mein utra na tha raat ka andha safar tha panw mein rasta na tha zard lamhon ki thakan mein aanganon ki aas thi raat thi jangal ki sar par chand bhi nikla na tha aaj tanhai ke ujde mod par thitka hua sochta hun main ne us ko tut kar chaha na tha us ke aaine se jis dam raat ka pahra utha be-nishan aawaz thi jis mein koi lahja na tha raat ka pichhla pahar tha jab shajar kata gaya nind aisi thi ki panchhi koi bhi chikha na tha