pighalti jaan pe kab ikhtiyar tera hai ki shama-dan pe kab ikhtiyar tera hai qafas ki qaid mein rakh lakh baal-o-par mere meri udan pe kab ikhtiyar tera hai qalam zarur tu hathon se chhin sakta hai meri zaban pe kab ikhtiyar tera hai zamin to chhin li pairon tale ki tu ne magar is aasman pe kab ikhtiyar tera hai ye mana zakhm to bhar dega waqt ka marham magar nishan pe kab ikhtiyar tera hai ye tera jism pe dawa to thik hai lekin dimagh dhyan pe kab ikhtiyar tera hai chhupana talwon ke chhaalon ko lakh tu 'sima' teri thakan pe kab ikhtiyar tera hai