jaane se pahle KHabar-dar to kar sakta tha

jaane se pahle khabar-dar to kar sakta tha
mujh ko is ke liye tayyar to kar sakta tha

main nihaarun tujhe khul kar na suhulat thi mujhe
kam se kam khul ke tu didar to kar sakta tha

zard jazbaat pe ek lams ka jadu kar ke
meri hasti ko wo gulzar to kar sakta tha

jis ne har pal kiya daman ko mere khak-alud
aaina sa mera kirdar to kar sakta tha

jaane kyon ishq ko poshida rakha hai us ne
wo agar chahta izhaar to kar sakta tha

koi mushkil thi use pyar jatane mein agar
pyar ki mithi si takrar to kar sakta tha

wo gaya ruthi hui chhod ke mujh ko 'sima'
manne ko mujhe lachaar to kar sakta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close