pila saqiya mai-khunuk aab mein ki thamti nahin tauba mahtab mein gaya din kaisa huzur-e-namaz wo yaad aae abru jo mehrab mein mile kuchh to zakhm-e-jigar ka maza bujha kar rakha tegh zahrab mein ilahi falak jis se phat jae de wo tasir aah-e-jigar-tab mein buland aashiyanon pe bijli giri jo niche the dube wo sailab mein wo uryan mein sarma mein thi jin ki shab guzarti samor aur sanjab mein na aae hon aazurda lena khabar padi dhum ye sare punjab mein