pilaya us ne jab se sharbat-e-didar chutki mein numayan hain tabhi se ishq ke aasar chutki mein khizan-dida tha us se pahle mera gulshan-e-hasti mera bagh-e-tamanna ho gaya gulzar chutki mein kiya arz-e-tamanna main ne jab wo hans ke ye bole nahin karte kisi se ishq ka izhaar chutki mein tumhaari ek nigah-e-naz ke sadqe mein ai jaanan hue hain kham na jaane kitne hi sardar chutki mein gaya wo daur jab farhad chattanon se ladta tha magar ab chahte hain sab ye pa len pyar chutki mein namaz-o-roza ki talqin guzarti hai garan us par magar shopping ko ho jati hai wo tayyar chutki mein hamare rahnumaon ke ajab atwar hain arman kabhi inkar chutki mein kabhi iqrar chutki mein