ek shakhs jawan khak-basar yaad to hoga wo apni nigahon ka asar yaad to hoga wo dhum zamane mein mere josh-e-junun ki wo ghalghala-e-sham-o-sahar yaad to hoga bhule to na hoge wo tajalli ki hikayat wo tazkira-e-dagh-e-jigar yaad to hoga har gam pe wo husn ki pur-hosh nigahen wo ishq ka bad-mast safar yaad to hoga har lamha wo duniya-e-mohabbat mein taghayyur har sans mein wo rang-e-digar yaad to hoga wo dil ko tere husn-e-khud-ara se talluq wo khak se paiman-e-nazar yaad to hoga wo kargah-e-dahr se ek be-khabari si wo tana-e-har-ahl-e-khabar yaad to hoga wo did ki tha ru-kash-e-araish-e-giti pahron taraf-e-rah-guzar yaad to hoga wo ishq ke jazbaat ka bharpur talatum tufan ki maujon mein guzar yaad to hoga gum-karda sukun pa ke mujhe apni gali mein kahna wo tajahul se kidhar yaad to hoga bholi to na hogi meri ulfat ki haqiqat muddat ka fasana hai magar yaad to hoga