pine pe laga kar pabandi dushnam ki baaten karte hain ye zahid-o-abid masjid mein khud jam ki baaten karte hain kyon aaj hain wo ghabrae hue ilzam ki baaten karte hain aaghaz-e-mohabbat se pahle anjam ki baaten karte hain jab meri wafa mashkuk nahin phir baat ye kaisi hoti hai mahfil mein bula kar aakhir kyon ilzam ki baaten karte hain kya ghuncha-o-gul se nisbat hai be-kar hai zinat gulshan ki kanton pe basar karne wale aaram ki baaten karte hain jab raaz-e-mohabbat khulne se tauhin-e-mohabbat hoti hai kyon ashk-e-nadamat aankhon mein ilzam ki baaten karte hain kis tarah guzare hijr ka din ye baat na puchho 'akhtar' se wo subh ki baaten kya jaanen jo sham ki baaten karte hain