un ke honton pe kyon hansi kam hai kya meri aankh mein nami kam hai mere mahbub phir koi jalwa chashm-e-bina mein raushni kam hai hasrat-e-did rah na jae kahin aa bhi jao ki zindagi kam hai kya kisi ne naqab sarka di kyon sitaron mein raushni kam hai naqsh-e-pa un ka chum lete hain kya hamari ye bandagi kam hai jaane kaise bahaar aai hai lala-o-gul pe tazgi kam hai kyon main barsat ki dua mangun kya meri aankh mein nami kam hai shama ki lau pe raqs karte hain jin patangon ki zindagi kam hai baat kya hai ki dil ki betabi kal bhi kam thi aur aaj bhi kam hai mere gham ka hai ye asar 'akhtar' un ke honton pe bhi hansi kam hai