piyo ki ma-hasal-e-hosh kis ne dekha hai tamam wahm-o-guman hai tamam dhoka hai na kyun ho sahib-e-jam-e-jahan-numa ko hasad sharab se mujhe apna suragh milta hai kisi ne khwab ke reze palak palak chun kar jo shahkar banaya hai tut sakta hai main intizar karunga agar meri fariyaad abhi sukut-ba-gulshan, sada-ba-sahra hai yahi sawab hai kya kam meri riyazat ka ki ek khalq tere nam se shanasa hai zahe-nasib ki us ko mera khayal aaya magar ye baat haqiqat nahin tamanna hai gunahgar hun ai madar-e-adam mujh ko bilak bilak ke tere bazuon mein rona hai khamir ek hai sab ka to ai zamin ai man zaban-o-mazhab-o-qaum-o-watan ye sab kya hai ghalat sahi magar aasan nahin ki ye nukta kisi hakim ne apne lahu se likkha hai payambaron ko utara gaya tha qaumon par khuda ne mujh pe magar qaum ko utara hai