hawa-e-taza mein phir jism o jaan basane ka daricha kholen ki hai waqt us ke aane ka asar hua nahin us par abhi zamane ka ye khwab-zad hai kirdar kis fasane ka kabhi kabhi wo hamein be-sabab bhi milta hai asar hua nahin us par abhi zamane ka abhi main ek mahaz-e-digar pe uljhi hun chuna hai waqt ye kya mujh ko aazmane ka kuchh is tarah ka pur-asrar hai tera lahja ki jaise raaz-kusha ho kisi khazane ka