ponchh kar ashk apni aankhon se muskurao to koi baat bane sar jhukane se kuchh nahin hota sar uthao to koi baat bane zindagi bhik mein nahin milti zindagi badh ke chhini jati hai apna haq sang-dil zamane se chhin pao to koi baat bane rang aur nasl zat aur mazhab jo bhi hai aadmi se kamtar hai is haqiqat ko tum bhi meri tarah man jao to koi baat bane nafraton ke jahan mein hum ko pyar ki bastiyan basani hain dur rahna koi kamal nahin pas aao to koi baat bane