poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe dekh ai nigah-e-shauq tu ruswa na kar mujhe maqsad se be-niyaz raha zauq-e-jushtuju main be-khabar hua jo hui kuchh khabar mujhe main shab ki bazm-e-aish ka matam-nashin hun aap ro ro ke kyun rulati hai shama-e-sahar mujhe hairat ne meri aaina un ko bana diya kya dekhte ki rah gae wo dekh kar mujhe qurban jaun chhod takalluf ki guftugu kah kar pukar 'wahshat'-e-shorida-sar mujhe