sang-e-tiflan fida-e-sar na hua aaj us kuche mein guzar na hua hum bhi the jauhar-e-giran-maya par koi sahib-e-nazar na hua amn-alam mein kyun nahin ya rab is ke qabil magar bashar na hua be-kasi parda-dar-e-dard hui khair guzri ki apna ghar na hua qadrdani ki kaifiyat malum aib kya hai agar hunar na hua sar jhukae jo aate ho 'wahshat' magar is bazm mein guzar na hua