poshida sab ki aankh se dil ki kitab rakh mumkin ho gar to zakhm ke badle gulab rakh ehsan karke bhul ja ehsan mat jata kis kis ko kya diya hai kabhi mat hisab rakh sehn-e-chaman ke ghunchon mein taqsim kar khushi shabnam ki tarah qalb ki aankhen pur-ab rakh dimak-zada kutub se na almariyan saja padhne ko tajrabaat ki zinda kitab rakh nakaamiyon ki dhup mein katti hai zindagi dil ke sukun ke liye aankhon mein khwab rakh har zarra ko chamakne ka andaz bakhsh de har subh-e-nau ke waste ek aaftab rakh 'shahin' zindagi ko banana ho kaamyab khisht-e-sawal ke liye sang-e-jawab rakh