tadap raha hai dil-e-be-qarar aa jao bas ek bar ai jaan-e-bahaar aa jao tumhaare aane se laut aaegi chaman mein bahaar khizan udane lagi hai ghubar aa jao laga di aag gulistan mein dushmanon ne magar bujhaen aag jo hain jaan-nisar aa jao hain ghar ke sare dariche hi wa tumhaare liye tasawwuraat ki duniya mein yar aa jao na chhut jae kahin ab ye zabt ka daman na jao ruth ke jaan-e-bahaar aa jao sahar ka tara bhi 'shahin' kah raha hai yahi guzar na jae shab-e-intizar aa jao