poshida tha jo sab pe ayan kyun nahin hua haq mein hamare nek guman kyun nahin hua sarsabz ho ke dil-nashin ban jati ye zamin aisa gudaz sail-e-rawan kyun nahin hua naghmon ke darmiyan fasana tha pur-kashish dilkash faza mein raqs jawan kyun nahin hua kal tak gali hamari darakhshan na ho saki ab to batao aisa miyan kyun nahin hua shan-o-shikoh mein wo hamesha tha taza-dam ghar ki faza mein jazb makan kyun nahin hua jalta raha hamara zamana chahaar-su shoalon ke beach us ka jahan kyun nahin hua chehra khula sa un ki nazar ke qarib tha pesh-e-nigah dard-e-nihan kyun nahin hua hairat-zada thi aql hamari ye soch kar jo kuchh wahan hua tha yahan kyun nahin hua hamd-o-sana dua se sanwara gaya tha shahr 'jafar' magar wo ja-e-aman kyun nahin hua