kahte ho mujhe be-adab khair main be-adab sahi tum se shikayat-e-sitam jab na sahi to ab sahi bazm-e-aza-e-dost mein gham na sahi tarab sahi hans na sako jo khul ke tum to khanda-e-zer-e-lab sahi jitni hon mehrbaniyan rakhiye wo ghair ke liye aur sitam hon jis qadar mere liye wo sab sahi mujh par agar karam nahin us ka mujhe alam nahin koi na koi baat ho qahr sahi ghazab sahi lutf-e-karam na ho na ho kam hai wo kya ata ho jo kawish-e-be-sabab sahi kulfat-e-be-talab sahi shauq se kah ke bad-nasib aap use pukariye nam 'rashid' hai to ho aur bhi ek laqab sahi