puchha na jaega jo watan se nikal gaya be-kar hai jo dant dahan se nikal gaya thahren kabhi kajon mein na dam bhar bhi rast-rau aaya kaman mein tir to san se nikal gaya khilat pahan ke aane ki thi ghar mein aarzu ye hausla bhi gor-o-kafan se nikal gaya pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash muddat hui gharib watan se nikal gaya murghan-e-bagh tum ko mubarak ho sair-e-gul kanta tha ek main so chaman se nikal gaya kya rang teri zulf ki bu ne uda diya kafur ho ke mushk khutan se nikal gaya pyasa hun is qadar ki mera dil jo gir pada pani ubal ke chah-e-zaqan se nikal gaya sara jahan nam ke pichhe tabah hai insan kiya aqiq-e-yaman se nikal gaya kanton ne bhi na daman-e-gulchin pakad liya bulbul ko zabh kar ke chaman se nikal gaya kya shauq tha jo yaad sag-e-yar ne kiya har ustukhan tadap ke badan se nikal gaya ai sabza rang-e-khat bhi bana ab to bosa de begana tha jo sabza chaman se nikal gaya manzur ishq ko jo hua auj-e-husn par qumri ka nala sarw-e-chaman se nikal gaya madd-e-nazar rahi hamein aisi raza-e-dost kati zaban jo shikwa dahan se nikal gaya taus ne dikhae jo apne badan ke dagh rota hua sahab chaman se nikal gaya sahra mein jab hui mujhe khush-chashmon ki talash koson main aahuwan-e-khutan se nikal gaya khanjar khincha jo myan se chamka miyan-e-saf jauhar khule jo mard watan se nikal gaya mein sher padh ke bazm se kiya uth gaya 'amir' bulbul chahak ke sehn-e-chaman se nikal gaya