jaane kisi ne kya kaha tez hawa ke shor mein mujh se suna nahin gaya tez hawa ke shor mein main bhi tujhe na sun saka tu bhi mujhe na sun saka tujh se hua mukalima tez hawa ke shor mein kashtiyon wale be-khabar badhte rahe bhanwar ki samt aur main chikhta raha tez hawa ke shor mein meri zaban-e-atishin lau thi mere charagh ki mera charagh chup na tha tez hawa ke shor mein jaise kharosh-e-bahr mein shor-e-parind dub jae dub gai meri sada tez hawa ke shor mein nauhagaran-e-sham-e-gham tum ne suna nahin magar kaisa ajib dard tha tez hawa ke shor mein mere makan ki chhat pe the taer-e-shab dare dare jaise payam-e-marg tha tez hawa ke shor mein minnat-e-gosh-e-be-hisan kaun uthae ab 'salim' nauha-e-gham mila diya tez hawa ke shor mein