puchhen tere zulm ka sabab hum itne to nahin hain be-adab hum ilzam nahin hai fasl-e-gul par khud apne junun ka hain sabab hum sahil pe siwae khak kya tha gharqab hue hain tishna-lab hum karte hain talash-e-admiyyat duniya mein hain aadmi ajab hum fursat ho to aa ke dekh jao muddat se pade hain jaan-ba-lab hum bahar se hain momin-e-sarapa indar se tamam bu-lahab hum har shakh pe gul khile hue the gulshan se 'saba' chale the jab hum