puchhen wo kash haal dil-e-be-qarar ka hum bhi kahen ki shukr hai parwardigar ka lazim agar hai shukr hi parwardigar ka phir kya ilaj gardish-e-lail-o-nahaar ka sayyaad bhi pahunch gaya gul-chi bhi bagh mein ai ham-safir aa gaya mausam bahaar ka tadbir kya ho sabr-o-shakeb-o-qarar ki wo tund-khu hai bas ka na dil ikhtiyar ka kyun-kar mite nadamat-e-izhaar-e-arzu aalam nazar mein hai nigah-e-sharmsar ka qanun kis ne badla hai qudrat ka shaikh-ji daru hai ab bhi mai hi gham-e-rozgar ka un namiyon ke hashr se ibrat-pazir ho baqi nahin nishan bhi jin ke ghubar ka rakkhega be-qarar tumhein bhi tamam umr marna tadap tadap ke kisi be-qarar ka be-laus ho hawas se agar ishq ai 'wafa' hai zikr-e-yar mein bhi maza wasl-e-yar ka