karenge zulm duniya par ye but aur aasman kab tak rahega pir ye kab tak rahoge tum jawan kab tak khudawanda inhen kis din shuur aaega duniya ka rahengi be-padhi-likhi hamari ladkiyan kab tak phirega aur kitne din khayali par ghode par udega sher-goi mein na engine ka dhuan kab tak inan-e-hukmarani dekhiye kis din khuda lega rahenge qismaton par hukmaran ye aasman kab tak diye jaenge kab tak shaikh-sahib kufr ke fatwe rahengi un ke sanduqcha mein din ki kunjiyan kab tak chali jaegi ek hi rukh hawa taki zamane ki na pura hoga tera daur ye ai aasman kab tak tahammul khatm hote hi badi bad-namiyan hongi tumhaare khauf se 'parwin' na kholegi zaban kab tak