puchhi na khabar kabhi hamari li khub khabar aji hamari hum laeq-e-bandagi nahin to bas khair hai bandagi hamari ai dida-e-nam na tham tu hargiz hai is mein hi behtari hamari yan teri kamar hi jab na dekhen phir hech hai zindagi hamari hum jaan chuke ki jaan ke sath jawegi ye jaankani hamari chalne ka liya jo nam tu ne bas jaan abhi chali hamari bigde ho bhale bhi baat kahte qismat hi buri bani hamari us zulf ke silsile mein hain hum hai umr bahut badi hamari kyunkar na kati zaban tumhaari han aur karo badi hamari kahte hain palat gaya wo rah se taqdir ulat gai hamari ab hanste hain hum pe log warna mashhur thi yan hansi hamari hum hatte hain mulk-e-ishq se kab heti kisi ne kahi hamari kya kaam kisi se hum ko 'ehsan' hum aur ye be-kasi hamari