utho zamane ke aashob ka izala karen ba-nam-e-gul-badnan rukh su-e-piyala karen ba-yaad-e-dida-e-makhmur pur-piyala karen utho ki zahr ka phir zahr se izala karen wo rind hain na uthaen bahaar ka ehsan warud hum teri khalwat mein be-hawala karen kahan ke dair o haram aao ek sajda-e-shauq bapa-e-hosh-e-rubayan-e-bast-sala karen baras pade jo gulistan mein us nazar se sharab bahak bahak ke hum aage subu-e-lala karen subu utha ki gadayan-e-ku-e-mai-khana tere hawale mah-o-mehr ka qabaala karen hadis-e-zohd ho ya wardat-e-zahra-misal kisi ke nam ko hum zeb-e-har-maqala karen dikha sahifa-e-rukh is tarah ki ahl-e-bahaar waraq waraq ba-khajalat bayaz-e-lala karen utho jala ke mai-e-surkh se charagh-e-abad nashat-e-sohbat-e-shab ko hazar-sala karen ada wo nichi nigahon ki hai ki jaise 'zafar' talash-e-kunj-e-ghazalan-e-khurd-sala karen