puchho mujhe ai ham-nafasan kaun hun kya hun yaro main koi hashr ke maidan mein khada hun tum rang mein dekho to hun murjhaya hua phul aawaz mein main tutte shishe ki sada hun meri bhi hikayat hai wahi dil-zadagi ki par dard ke unwan mein mazmun-e-juda hun kuchh mere hi dam se hain bahaaron ke maani main pairaw-e-gul gul ki tarah chaak-qaba hun hun band khayalon mein ki jun phul mein khushbu aazada-rawi mein sifat-e-mauj-e-saba hun khwahish pe mujhe tut ke girna nahin aata pyasa hun magar sahil-e-dariya pe khada hun shayad yahi tiryaq bane zahr fana ka main talkhi-e-ayyam ka sat khinch raha hun phulon ki rifaqat mein to pae hain phaphole kanton se hai ummid ki main aabla-pa hun din roz-e-qayamat hai ki kate nahin katta tanha hun ki khud sae se bhi apne juda hun raat aae to so jaun andheron se lipat kar main subh se darta hun ki suraj ka dasa hun katra ke na chal rah bhatak jaega rahi main rahraw-e-ummid ka naqsh-e-kaf-e-pa hun is daur-e-khurafat mein be-qadr hun phir bhi tu jitna samajhta hai main kuchh us se siwa hun har rang har aahang mere samne aajiz main koh-e-maani ki bulandi pe khada hun niklengi chatanon se meri fikr ki nahren main lafz ke teshe se unhen kat raha hun main kimiya-gar khud ko jalata hi rahunga aur tu ye samajhta hai ki jine se khafa hun paida mere naghmon se huin nur ki lahren main khaliq-e-tahzib andheron ki ziya hun 'baqar' mujhe kuchh dad-e-sukhan ki nahin parwa main shahr-e-khamoshan mein hun aur naghma-sara hun