libas us ka alamat ki tarah tha badan raushan ibarat ki tarah tha faza saiqal samaat ki tarah thi sukut us ka amanat ki tarah tha ada mauj-e-tajassus ki tarah thi nafas khushbu ki shohrat ki tarah tha bisat-e-rang thi mutthi mein us ki qadam us ka bashaarat ki tarah tha gurezan aankh dawat ki tarah thi takalluf ek inayat ki tarah tha khalish bedar nashshe ki tarah thi ragon mein khun musibat ki tarah tha tasawwur par hina bikhri hui thi saman aaghosh-e-khalwat ki tarah tha hawas andhi zarurat ki tarah thi wo khud daim mohabbat ki tarah tha wahi uslub-e-sada sharh-e-dil ka kisi zinda riwayat ki tarah tha