puchho na ye firaq mein kya tera haal hai

puchho na ye firaq mein kya tera haal hai
marna kamal-e-sahal hai jina muhaal hai

ye husn hur ka na pari ka jamal hai
khuban-e-dahr mein to adim-ul-misal hai

ai jazb-e-ishq sirf ye tera kamal hai
un ka mujhe khayal unhen mera khayal hai

bimar-e-dard-o-gham ki haqiqat na puchhiye
kal aur haal us ka tha aaj aur haal hai

ek chaudhwin ke chand par hi munhasir nahin
yunhi har ek shai ko uruj-o-zawal hai

waqif hain mehr-o-mah ki haqiqat se khub hum
is mein tera jalal hai is mein jamal hai

mirrikh kanpta hai tumhaare jalal se
tum se milae aankh ye kis ki majal hai

kar dunga sard nar-e-jahannam ko hashr mein
kafi use mera araq-e-infial hai

us sarw-qad ke qad se hai jis aadmi ko ishq
sarsabz hai wo bagh jahan mein nihaal hai

ai shaikh salsabil ho ya ho do-atisha
pina koi haram nahin hai halal hai

'sabir' tera kalam sunen kyun na ahl-e-fan
bandish ajab hai aur ajab bol-chaal hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close