puchhta kaun hai darta hai tu ai yar abas qatl karne se mere hai tujhe inkar abas kya meri aankh adam bich lagi thi ai charkh kiya us khwab se tu ne mujhe bedar abas wasl hi us ka dawa hai meri bimari ko aur kuchh karte hain tadbir ye gham-khwar abas yar tanha hai phir aisa nahin milne ka waqt sharm hoti hai meri mana-e-guftar abas aur bhi un ne 'bayan' zulm kuchh afzud kiya kiya us shokh se tin ishq ka izhaar abas