puchhte hain haal taDpane ke baad

puchhte hain haal tadpane ke baad
ye karam hai har sitam dhane ke baad

gham ke sae se mila hai dil ko nur
bijli kaundi hai ghata chha jaane ke baad

rukh to kashti ka hai sahil ki taraf
dekhiye kya bite takrane ke baad

allah allah khinchna daman-e-dil
zist ke kanton mein uljhane ke baad

mil saka hai un ke gham ka kuchh maza
bahjat-e-kaunain thukrane ke baad

hae wo bebak ghaarat-gar nigah
jis ne luta dil ko chaunkane ke baad

barq-wash jalwa bhi koi jalwa hai
aah ye dhalkana tarsane ke baad

tod hi dalo dil-e-kam-bakht ko
jodne baithe ho darkane ke baad

aur bhadkate ho is pani se aag
ro rahe ho mujh ko sulgane ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close