raaz aashkara hai ab gham-e-nihan apna

raaz aashkara hai ab gham-e-nihan apna
aah ye sukut aakhir ban gaya bayan apna

husn aur gham-khwari khwab hai ki bedari
hai hanuz kuchh baqi shayad imtihan apna

kab hui talash un ko kho gae jab aise hum
khud hamein nahin milta nam ko nishan apna

lutf-e-zindagi kaisa sair-e-gulsitan kaisi
hai wo ab qafas apna tha jo aashiyan apna

aarzuen ghut ghut kar dil hi mein rahen kab tak
lut le koi rahzan kash karwan apna

aa na jae harf ek din un ki be-niyazi par
ta-kuja mohabbat mein aap imtihan apna

dil ki baat ki jae kis se phir siwae dil
jab nahin yahan 'kaukab' koi raaz-dan apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close