pukarta hai magar dhyan mein nahin aata ajib harf hai imkan mein nahin aata bas ek nam hai apna nishan jo yaad nahin aur ek chehra jo pahchan mein nahin aata main gosha-gir hun sadiyon se apne hujre mein masaf-e-baiat-o-paiman mein nahin aata mujhe bhi hukm nahin shahr se nikalne ka mera harif bhi maidan mein nahin aata main is hujum mein kyun is qadar akela hun ki jama ho ke bhi mizan mein nahin aata mere khuda mujhe is aag se nikal ki tu samajh mein aata hai iqan mein nahin aata